
patra (letter) me maine likha ..kuch vedna (emotions)ki baat thi..
nam ankho ki dwaat me syahi bhi paryapt thi..
ankho me aansu ke saath yaado ki barssat thi..
har lamha jo tumhare sath bitaya tha ..use patra me(letter) utara maine..
varsh bhar likhta rha tumhare vichoh me..
par patra bhej na ska pate ki uha poh me.. ........
ab tumhara naam hi tha mere paas..
pta bhi agyaat tha..
shaher(city)gali bhi agyaat thi..
sirf naam likha..... Aur ..
daal diya patra daak (letter box) me.......
agle hi din khda tha patra liye ..dakiya samne mere..
shayad ..
usne , mere ander hi tha tumhe pa liya .......!!

